Saturday, August 21, 2010

Mein beti bankar aayi hoon Maa-baap ke jeevan mein
Basera hai aaj, kal mera kisi aur ke aangan mein

Kyon yeh reet bhagwan ne banayi hogi
kehte hain aaj nahi toh kal tu parayi hogi

De kar janam pal-poskar jisne hamein bada kiya
aur waqt aaya toh unhi haathon se hamein vida kiya

betiya isse samajhkar paribhasha apne jeevan ki
bana deti hai abhilasha ek atoot bandhan ki

kyon rishta hamara itna ajeeb hota hai
kya bas yahi hum betiyon ka naseeb hota hai




os ki bundo ki tarah hoti hai betiya,
maa baap ki dulari hoti hai betiya,
jaan se pyari hoti hai betiya,
maa baap k dard me hmdard hoti hai betia,
roshan karega beta to bs ek hi kul ko
2 2 kul ki laaj hoti hai betiya,
heera hai agar beta to sacha moti hai betiya
kanto ki raha pr chalti h betiya,
auro ki raha me ful banti hai betiya,
kahne ko parayi amanat hai betiya,
pr beto se b apni hoti hai betia..!!

posted by monika chouhan

No comments:

Post a Comment