Sunday, August 1, 2010

Kaun kahata hai ke maut aayi to mar jaunga

kaun kahata hai ke maut aayi to mar jaunga
main to darya hun samandar mein utar jaunga

tera dar chor ke main aur kidhar jaunga
ghar mein ghir jaunga sahara mein bikhar jaunga

tere pahlu se jo uthunga to mushkil ye hai
sirf ik shaKhs ko paunga jidhar jaunga
ab tere shehar mein aunga musafir ki tarah
saya-e-abr ki manind guzar jaunga

tera paiman-e-wafa rah ki divar bana
warna socha tha ke jab chahunga mar jaun ga

charasazon se alag hai mera mayar ke main
zaKhm khaunga to kuch aur sanvar jaun ga

ab to Khurshid ko dube hue sadiyan guzrin
ab use dhundne main ta-ba-sahar jaunga

zindagi shamma ki manind jalata hun ‘Nadeem’
bujh to jaunga magar subah to kar jaunga

-Ahmed Nadeem Qasmi

No comments:

Post a Comment